teri sada ki aas mein ek shaKHs roega
terī sadā kī aas meñ ik shaḳhs ro.egā
chehra añdherī raat kā ashkoñ se dho.egā
shole sitam ke lā.egī ab raat chāndnī
sūraj badan meñ dhuup ke ḳhanjar chubho.egā
ai shahr-e-nā-murād tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
dariyā dukhoñ ke zahr kā tujh ko Dubo.egā
parbat giregā TuuT ke gahre nasheb meñ
kab tak jumūd barf kā vo bojh Dho.egā
'fikrī' tū apnī baat kā andāz to badal
varna ḳhazīna naam kā ik roz kho.egā
teri sada ki aas mein ek shaKHs roega
chehra andheri raat ka ashkon se dhoega
shole sitam ke laegi ab raat chandni
suraj badan mein dhup ke KHanjar chubhoega
ai shahr-e-na-murad tujhe kuchh KHabar bhi hai
dariya dukhon ke zahr ka tujh ko Duboega
parbat girega TuT ke gahre nasheb mein
kab tak jumud barf ka wo bojh Dhoega
'fikri' tu apni baat ka andaz to badal
warna KHazina nam ka ek roz khoega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.