dekh teri sohbaton ka kya asar aaya hai aaj
dekh terī sohbatoñ kā kyā asar aayā hai aaj
ek āvāra parinda phir se ghar aayā hai aaj
terī furqat meñ bhī qurbat is tarah mahsūs kī
chāñd meñ chehra tirā mujh ko nazar aayā hai aaj
zindagī meñ kho.e dekhe sab yaqīñ jaatā rahā
tū milā to phir yaqīñ ik lauT kar aayā hai aaj
aa ke tum ne sach ye hai qismat mirī dī hai sañvār
yā taras mālik ko mujh par is qadar aayā hai aaj
terī bātoñ meñ yaqīñ meñ aisī sachchā.ī milī
dil meñ jiine kā irāda phir ubhar aayā hai aaj
log kahte haiñ mirī āñkhoñ meñ hai ab raushnī
aks terā hī unheñ be-shak nazar aayā hai aaj
dī muāfī jā tujhe tū bhī karegā yaad kyā
le ke terā ḳhat vo qāsid qabr par aayā hai aaj
ishq bhī is ko na samjhūñ tū batā tū kis liye
dil meñ hāsil ke ḳhudā ban kar utar aayā hai aaj
dekh teri sohbaton ka kya asar aaya hai aaj
ek aawara parinda phir se ghar aaya hai aaj
teri furqat mein bhi qurbat is tarah mahsus ki
chand mein chehra tera mujh ko nazar aaya hai aaj
zindagi mein khoe dekhe sab yaqin jata raha
tu mila to phir yaqin ek lauT kar aaya hai aaj
aa ke tum ne sach ye hai qismat meri di hai sanwar
ya taras malik ko mujh par is qadar aaya hai aaj
teri baaton mein yaqin mein aisi sachchai mili
dil mein jine ka irada phir ubhar aaya hai aaj
log kahte hain meri aankhon mein hai ab raushni
aks tera hi unhen be-shak nazar aaya hai aaj
di muafi ja tujhe tu bhi karega yaad kya
le ke tera KHat wo qasid qabr par aaya hai aaj
ishq bhi is ko na samjhun tu bata tu kis liye
dil mein hasil ke KHuda ban kar utar aaya hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.