teri surat kamal karti hai
terī sūrat kamāl kartī hai
mahv-e-husn-o-jamāl kartī hai
aap kī ek ek baat mujhe
aap kā ham-ḳhayāl kartī hai
hosh vaale bhī hosh kho baiTheñ
be-ḳhudī vo kamāl kartī hai
yaar is zindagī ko kyā kahiye
kaise kaise savāl kartī hai
ye jo duniyā hai ye mohabbat ko
ik tamāshā ḳhayāl kartī hai
kaash tū hotā in lakīroñ meñ
ye hathelī malāl kartī hai
kyā huiiñ qurbateñ jo thiiñ tum se
mujh se duniyā savāl kartī hai
ye jo duniyā hai kitnī mushkil se
e'tirāf-e-kamāl kartī hai
maiñ jo she'roñ kī daad paatā huuñ
ye sab urdu kamāl kartī hai
koī hiila 'samar' nahīñ chaltā
zindagī jab savāl kartī hai
teri surat kamal karti hai
mahw-e-husn-o-jamal karti hai
aap ki ek ek baat mujhe
aap ka ham-KHayal karti hai
hosh wale bhi hosh kho baiThen
be-KHudi wo kamal karti hai
yar is zindagi ko kya kahiye
kaise kaise sawal karti hai
ye jo duniya hai ye mohabbat ko
ek tamasha KHayal karti hai
kash tu hota in lakiron mein
ye hatheli malal karti hai
kya huin qurbaten jo thin tum se
mujh se duniya sawal karti hai
ye jo duniya hai kitni mushkil se
e'tiraf-e-kamal karti hai
main jo she'ron ki dad pata hun
ye sab urdu kamal karti hai
koi hila 'samar' nahin chalta
zindagi jab sawal karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.