teri talash teri tamanna to main bhi hun
terī talāsh terī tamannā to maiñ bhī huuñ
jaisā tirā ḳhayāl hai vaisā to maiñ bhī huuñ
ta.amīr jaisī chāhiye vaisī na ho sakī
buniyād apnī roz uThātā to maiñ bhī huuñ
bosīda chhāl peḌ se lipTī hai gar to kyā
achchhe dinoñ kī aas pe zinda to maiñ bhī huuñ
ai zindagī mujhe to ḳhabar tak na ho sakī
har-chand apne ġham kā mudāvā to maiñ bhī huuñ
mahrūmī-e-hayāt kā mujh ko bhī ġham to hai
mahrūmī-e-hayāt pe rotā to maiñ bhī huuñ
shāyad nikal hī aa.e yahāñ koī rāsta
is shahr-e-be-lihāz meñ Thahrā to maiñ bhī huuñ
ai zindagī to kis liye māyūs mujh se hai
terī tavaqquāt pe puurā to maiñ bhī huuñ
nok-e-qalam pe sūrat-e-iz.hār ye bhī hai
tujh ko ġhazal ke ruup meñ likhtā to maiñ bhī huuñ
ai zindagī tū thāmtī mere vajūd ko
tere liye jahān meñ bhaTkā to maiñ bhī huuñ
ai kaash jaan le tū mire dil kī dāstāñ
tum ho to zindagī kā taqāzā to maiñ bhī huuñ
mujh meñ jo iztirāb hai mere sabab se hai
mujh se na kuchh kaho ki samajhtā to maiñ bhī huuñ
ye kyā ki ḳhvāhishoñ kā safar ḳhatm hī na ho
ye kyā ki ek moḌ pe Thahrā to maiñ bhī huuñ
ye kyā ki ek taur se guzregī zindagī
ye kyā ki ek raah pe chaltā to maiñ bhī huuñ
rakhtā nahīñ huuñ dil meñ havāoñ kā kuchh bhī ḳhauf
rāhoñ meñ terī diip jalātā to maiñ bhī huuñ
tum aa.e aur sameT ke duniyā nikal ga.e
is umr ke sarāb meñ bhaTkā to maiñ bhī huuñ
maiñ bhī dukhoñ se māvarā kab huuñ jahān meñ
bār-e-ġham-e-hayāt uThātā to maiñ bhī huuñ
maiñ bhī bhaTak rahā huuñ zamāne ke saath saath
andhā agar jahān hai andhā to maiñ bhī huuñ
tere bayān meñ hai na mere bayān meñ
is zindagī ko dekh dikhātā to maiñ bhī huuñ
kuchh raushnī kī aas hai mujh ko bhī ai 'nabīl'
āñkhoñ ke diip roz jalātā to maiñ bhī huuñ
hañstī hai mujh pe duniyā to hañstī rahe 'nabīl'
is ke muāmlāt pe hañstā to maiñ bhī huuñ
ruk se ga.e 'nabīl' ye kis ke ḳhayāl meñ
tū dekh ġhaur se mujhe ruktā to maiñ bhī huuñ
teri talash teri tamanna to main bhi hun
jaisa tera KHayal hai waisa to main bhi hun
tamir jaisi chahiye waisi na ho saki
buniyaad apni roz uThata to main bhi hun
bosida chhaal peD se lipTi hai gar to kya
achchhe dinon ki aas pe zinda to main bhi hun
ai zindagi mujhe to KHabar tak na ho saki
har-chand apne gham ka mudawa to main bhi hun
mahrumi-e-hayat ka mujh ko bhi gham to hai
mahrumi-e-hayat pe rota to main bhi hun
shayad nikal hi aae yahan koi rasta
is shahr-e-be-lihaz mein Thahra to main bhi hun
ai zindagi to kis liye mayus mujh se hai
teri tawaqquat pe pura to main bhi hun
nok-e-qalam pe surat-e-izhaar ye bhi hai
tujh ko ghazal ke rup mein likhta to main bhi hun
ai zindagi tu thamti mere wajud ko
tere liye jahan mein bhaTka to main bhi hun
ai kash jaan le tu mere dil ki dastan
tum ho to zindagi ka taqaza to main bhi hun
mujh mein jo iztirab hai mere sabab se hai
mujh se na kuchh kaho ki samajhta to main bhi hun
ye kya ki KHwahishon ka safar KHatm hi na ho
ye kya ki ek moD pe Thahra to main bhi hun
ye kya ki ek taur se guzregi zindagi
ye kya ki ek rah pe chalta to main bhi hun
rakhta nahin hun dil mein hawaon ka kuchh bhi KHauf
rahon mein teri dip jalata to main bhi hun
tum aae aur sameT ke duniya nikal gae
is umr ke sarab mein bhaTka to main bhi hun
main bhi dukhon se mawara kab hun jahan mein
bar-e-gham-e-hayat uThata to main bhi hun
main bhi bhaTak raha hun zamane ke sath sath
andha agar jahan hai andha to main bhi hun
tere bayan mein hai na mere bayan mein
is zindagi ko dekh dikhata to main bhi hun
kuchh raushni ki aas hai mujh ko bhi ai 'nabil'
aankhon ke dip roz jalata to main bhi hun
hansti hai mujh pe duniya to hansti rahe 'nabil'
is ke muamlat pe hansta to main bhi hun
ruk se gae 'nabil' ye kis ke KHayal mein
tu dekh ghaur se mujhe rukta to main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.