teri taswir mere pas nahin
terī tasvīr mere paas nahīñ
aur kabhī hone kī bhī aas nahīñ
terī mahfil meñ jā ke jaam piyūñ
merī taqdīr itnī ḳhaas nahīñ
mere dil ke lahū ko piitā hai
kaun kahtā hai ḳhat ko pyaas nahīñ
daaġh ko vo chhupā.e kaise bhalā
chāñd ke jism par libās nahīñ
dauḌ kar us ko maiñ pakaḌ letā
maut bhī mere ās-pās nahīñ
teri taswir mere pas nahin
aur kabhi hone ki bhi aas nahin
teri mahfil mein ja ke jam piyun
meri taqdir itni KHas nahin
mere dil ke lahu ko pita hai
kaun kahta hai KHat ko pyas nahin
dagh ko wo chhupae kaise bhala
chand ke jism par libas nahin
dauD kar us ko main pakaD leta
maut bhi mere aas-pas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.