teri taswiron ko dekh pighalti hain
terī tasvīroñ ko dekh pighaltī haiñ
ab ye āñkheñ ham se nahīñ sambhaltī haiñ
har din chehra alag tarah kā hotā hai
ġham kī shakleñ bhī to roz badaltī haiñ
in ḳhvāboñ kā sach honā kyā mumkin hai
jin ke ḳhātir āñkheñ merī jaltī haiñ
jaane kis kā lahja us par haavī hai
us kī bāteñ ab añgār ugaltī haiñ
dil ke qabristān kā yāroñ kyā kahnā
lāsheñ bas jazbāt kī is meñ paltī haiñ
jab tak huuñ maiñ zinda milne aa jaao
lamha lamha sāñseñ roz nikaltī haiñ
ummīdoñ kā sūraj roz nikaltā hai
shaam ke jaisī 'mīt' umīdeñ Dhaltī haiñ
teri taswiron ko dekh pighalti hain
ab ye aankhen hum se nahin sambhalti hain
har din chehra alag tarah ka hota hai
gham ki shaklen bhi to roz badalti hain
in KHwabon ka sach hona kya mumkin hai
jin ke KHatir aankhen meri jalti hain
jaane kis ka lahja us par hawi hai
us ki baaten ab angar ugalti hain
dil ke qabristan ka yaron kya kahna
lashen bas jazbaat ki is mein palti hain
jab tak hun main zinda milne aa jao
lamha lamha sansen roz nikalti hain
ummidon ka suraj roz nikalta hai
sham ke jaisi 'mit' umiden Dhalti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.