teri ulfat ki nazar mujh pe jo paiham hogi
terī ulfat kī nazar mujh pe jo paiham hogī
ruuh par ḳhushiyoñ kī barsāt chhamā-chham hogī
dil meñ jo baat hai ik-dūje se khul kar kah deñ
kab talak baat hamārī bhalā mub.ham hogī
qurbateñ ham se baḌhāne kā takalluf na kareñ
aap badleñge to taklīf na phir kam hogī
dil ke sahrā meñ bhī aa jā.egī chupke se bahār
saañs jab un kī mirī saañs meñ mudġham hogī
pyaar ke biij isī aas pe bo.e ham ne
aaj hai ḳhushk magar kal ye zamīñ nam hogī
aap ke aane se duniyā mirī hogī raushan
chāñd tāroñ kī chamak aap hī maddham hogī
ek din aa.egā farhat-bharā mausam 'azkā'
phir mirī āñkhoñ se barsāt bhī kam-kam hogī
teri ulfat ki nazar mujh pe jo paiham hogi
ruh par KHushiyon ki barsat chhama-chham hogi
dil mein jo baat hai ik-duje se khul kar kah den
kab talak baat hamari bhala mubham hogi
qurbaten hum se baDhane ka takalluf na karen
aap badlenge to taklif na phir kam hogi
dil ke sahra mein bhi aa jaegi chupke se bahaar
sans jab un ki meri sans mein mudgham hogi
pyar ke bij isi aas pe boe hum ne
aaj hai KHushk magar kal ye zamin nam hogi
aap ke aane se duniya meri hogi raushan
chand taron ki chamak aap hi maddham hogi
ek din aaega farhat-bhara mausam 'azka'
phir meri aankhon se barsat bhi kam-kam hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.