teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga
terī ulfat meñ na jaane kyā se kyā ho jā.ūñgā
tū ne gar chāhā to ik din maiñ ḳhudā ho jā.ūñgā
qatl kar ke mat samajhnā maiñ fanā ho jā.ūñgā
jal ke apnī raakh se phir rūnumā ho jā.ūñgā
maiñ kisī darvesh ke lab kī duā ho jā.ūñgā
be-sahārā zindagī kā aasrā ho jā.ūñgā
rāt-bhar baiThā rahā meñ thaam kar yādoñ kā haath
dil ko ḳhadsha thā ki maiñ tujh se judā ho jā.ūñgā
sāmne Thahrā huuñ tere jaan le pahchān le
chal paḌā to baḌhte baḌhte fāsla ho jā.ūñgā
vaqt ke sahrā meñ tum pāoge mere naqsh-e-pā
maiñ azal se tā-abad ik silsila ho jā.ūñgā
maiñ samā jā.ūñgā ḳhushbū kī tarah har phuul meñ
pattī pattī ġhuncha ġhuncha rūnumā ho jā.ūñgā
raah kā patthar sahī gar tū tarāshegā mujhe
dekhte hī dekhte maiñ devtā ho jā.ūñgā
teri ulfat mein na jaane kya se kya ho jaunga
tu ne gar chaha to ek din main KHuda ho jaunga
qatl kar ke mat samajhna main fana ho jaunga
jal ke apni rakh se phir runuma ho jaunga
main kisi darwesh ke lab ki dua ho jaunga
be-sahaara zindagi ka aasra ho jaunga
raat-bhar baiTha raha mein tham kar yaadon ka hath
dil ko KHadsha tha ki main tujh se juda ho jaunga
samne Thahra hun tere jaan le pahchan le
chal paDa to baDhte baDhte fasla ho jaunga
waqt ke sahra mein tum paoge mere naqsh-e-pa
main azal se ta-abad ek silsila ho jaunga
main sama jaunga KHushbu ki tarah har phul mein
patti patti ghuncha ghuncha runuma ho jaunga
rah ka patthar sahi gar tu tarashega mujhe
dekhte hi dekhte main dewta ho jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.