teri wafa par shak hai mujhko baat na kar be-lag hawa
teri wafa par shak hai mujhko baat na kar be-lag hawa
Shauq Asar Rampuri
MORE BYShauq Asar Rampuri
terī vafā par shak hai mujh ko baat na kar be-lāg havā
un kī ḳhushbū le ke na aa.ī bhaag yahāñ se bhaag havā
dete haiñ nafrat kā ujālā nafrat ke nāpāk diye
kyoñ na bujhā.e tū ne ab tak vaqt-e-azāñ hai jaag havā
chhappar kuchh baaqī haiñ ab bhī nādāroñ kī qismat se
sho.aloñ ne jab tyaag diyā hai tū bhī un ko tyaag havā
qismat meñ jal jaanā ho to ghar se ghar kī duurī kyā
pal bhar meñ uḌte kāñdhoñ par le jaatī hai aag havā
nafrat ke sab kaale chehre nazroñ meñ aa jā.eñge
'shauq' jo ghar ghar diip jalā de gā kar dīpak raag havā
teri wafa par shak hai mujh ko baat na kar be-lag hawa
un ki KHushbu le ke na aai bhag yahan se bhag hawa
dete hain nafrat ka ujala nafrat ke napak diye
kyon na bujhae tu ne ab tak waqt-e-azan hai jag hawa
chhappar kuchh baqi hain ab bhi nadaron ki qismat se
shoalon ne jab tyag diya hai tu bhi un ko tyag hawa
qismat mein jal jaana ho to ghar se ghar ki duri kya
pal bhar mein uDte kandhon par le jati hai aag hawa
nafrat ke sab kale chehre nazron mein aa jaenge
'shauq' jo ghar ghar dip jala de ga kar dipak rag hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.