teri yaad aur tere dhyan mein guzri hai
terī yaad aur tere dhyān meñ guzrī hai
saarī zindagī ek makān meñ guzrī hai
is tārīk fazā meñ merī saarī umr
diyā jalāne ke imkān meñ guzrī hai
apne liye jo shaam bachā kar rakkhī thī
vo tujh se ahd-o-paimān meñ guzrī hai
tujh se uktā jaane kī ik saa.at bhī
tere ishq hī ke daurān meñ guzrī hai
dīvāroñ kā shauq jahāñ thā sab ko 'jamāl'
umr mirī us ḳhāndān meñ guzrī hai
teri yaad aur tere dhyan mein guzri hai
sari zindagi ek makan mein guzri hai
is tarik faza mein meri sari umr
diya jalane ke imkan mein guzri hai
apne liye jo sham bacha kar rakkhi thi
wo tujh se ahd-o-paiman mein guzri hai
tujh se ukta jaane ki ek saat bhi
tere ishq hi ke dauran mein guzri hai
diwaron ka shauq jahan tha sab ko 'jamal'
umr meri us KHandan mein guzri hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 23)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.