teri yaaden bahaal rakhti hai
terī yādeñ bahāl rakhtī hai
raat dil par vabāl rakhtī hai
shab-e-ġham kī ye rāgnī ban meñ
bāñsurī jaisī taal rakhtī hai
dil kī vaadī se uThne vaalī kiran
vahshatoñ ko ujaal rakhtī hai
bām-o-dar par utarne vaalī dhuup
sabz rañg-e-malāl rakhtī hai
shaam khultī hai tere aane se
lab pe terā savāl rakhtī hai
ek laḌkī udaas safhoñ meñ
ik jazīra sambhāl rakhtī hai
āḳhirī diip kī laraztī lau
mahr o mah sā jamāl rakhtī hai
teri yaaden bahaal rakhti hai
raat dil par wabaal rakhti hai
shab-e-gham ki ye ragni ban mein
bansuri jaisi tal rakhti hai
dil ki wadi se uThne wali kiran
wahshaton ko ujal rakhti hai
baam-o-dar par utarne wali dhup
sabz rang-e-malal rakhti hai
sham khulti hai tere aane se
lab pe tera sawal rakhti hai
ek laDki udas safhon mein
ek jazira sambhaal rakhti hai
aaKHiri dip ki larazti lau
mahr o mah sa jamal rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.