teri yaaden halak kar dengi
terī yādeñ halāk kar deñgī
qissa-e-zīst paak kar deñgī
ḳhvāhisheñ ḳhanjaroñ kī haiñ mānind
ye mire dil ko chaak kar deñgī
shohratoñ par ġhurūr mat karnā
ye tujhe misl-e-ḳhāk kar deñgī
ye hamāre lahū kī chhīTeñ haiñ
tere dāman ko paak kar deñgī
ġham kī tārīkiyāñ bhī mumkin hai
zindagī tābnāk kar deñgī
'shākir' aa jaao ab mirī sāñseñ
jism se infikāk kar deñgī
teri yaaden halak kar dengi
qissa-e-zist pak kar dengi
KHwahishen KHanjaron ki hain manind
ye mere dil ko chaak kar dengi
shohraton par ghurur mat karna
ye tujhe misl-e-KHak kar dengi
ye hamare lahu ki chhiTen hain
tere daman ko pak kar dengi
gham ki tarikiyan bhi mumkin hai
zindagi tabnak kar dengi
'shakir' aa jao ab meri sansen
jism se infikak kar dengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.