teri yaaden mera saya
terī yādeñ merā saaya
saa.e se maiñ bhaag na paayā
mujh ko merī fikr nahīñ hai
mere andar kaun samāyā
rab jaane vo bichhḌā kyūñkar
jis ko maiñ ne miit banāyā
rote saarī 'umr kaTī hai
par na aañkh se aañsū aayā
apnā jīvan ek khilaunā
jis ne chāhā jī bahlāyā
un par koī aañch na aa.ī
ham ne apnā aap jalāyā
un logoñ ne niiñd uḌaa.ī
jin logoñ ne ḳhvāb dikhāyā
mujh se naatā toḌ ke apnā
na jaane vo kyoñ pachhtāyā
yaad kiyā phir us ne mujh ko
vaqt koī jo mushkil aayā
teri yaaden mera saya
sae se main bhag na paya
mujh ko meri fikr nahin hai
mere andar kaun samaya
rab jaane wo bichhDa kyunkar
jis ko main ne mit banaya
rote sari 'umr kaTi hai
par na aankh se aansu aaya
apna jiwan ek khilauna
jis ne chaha ji bahlaya
un par koi aanch na aai
hum ne apna aap jalaya
un logon ne nind uDai
jin logon ne KHwab dikhaya
mujh se nata toD ke apna
na jaane wo kyon pachhtaya
yaad kiya phir us ne mujh ko
waqt koi jo mushkil aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.