teri yaadon ko bula kar tere gesu ki tarah
terī yādoñ ko bulā kar tire gesū kī tarah
pahne rahte haiñ darīche mirī ḳhushbū kī tarah
haa.e jab hijr kī shab meñ tire bosoñ kī miThās
phail jaatī hai mire hoñToñ pe jaadū kī tarah
tū mire baaġh se toḌe hue ġhunche kī misāl
maiñ tire dasht meñ bhaTke hue aahū kī tarah
āsmāñ bāñTtā rahtā hai nasībe 'aḳhtar'
din ko motī kī tarah raat ko aañsū kī tarah
teri yaadon ko bula kar tere gesu ki tarah
pahne rahte hain dariche meri KHushbu ki tarah
hae jab hijr ki shab mein tere boson ki miThas
phail jati hai mere honTon pe jadu ki tarah
tu mere bagh se toDe hue ghunche ki misal
main tere dasht mein bhaTke hue aahu ki tarah
aasman banTta rahta hai nasibe 'aKHtar'
din ko moti ki tarah raat ko aansu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.