teri zaban se KHasta koi zar hai koi
terī zabāñ se ḳhasta koī zaar hai koī
pyāre ye nahv o sarf ye guftār hai koī
Thokar meñ har qadam kī taḌapte haiñ dil ka.ī
zālim idhar to dekh ye raftār hai koī
juuñ shāḳh-e-gul hai fikr meñ merī shikast kī
merā gar us chaman meñ havā-dār hai koī
zālim ḳhabar to le kahīñ 'qā.em' hī ye na ho
nālān o muztarib pas-e-dīvār hai koī
teri zaban se KHasta koi zar hai koi
pyare ye nahw o sarf ye guftar hai koi
Thokar mein har qadam ki taDapte hain dil kai
zalim idhar to dekh ye raftar hai koi
jun shaKH-e-gul hai fikr mein meri shikast ki
mera gar us chaman mein hawa-dar hai koi
zalim KHabar to le kahin 'qaem' hi ye na ho
nalan o muztarib pas-e-diwar hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.