teri zamin ki KHak mein mil kar chale gae
teri zamin ki KHak mein mil kar chale gae
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
terī zamīñ kī ḳhaak meñ mil kar chale ga.e
jaane yahāñ se kitne sikandar chale ga.e
māyūsiyāñ simaT ke nazar meñ samā ga.iiñ
jab tum mirī nigāh se bāhar chale ga.e
sharminda-e-nazar the nazar kyā milāte vo
kuchh log apne sar ko jhukā kar chale ga.e
sochā thā ham ne saath guzāreñge zindagī
tum to hamārī soch badal kar chale ga.e
ḳhanjar kā ghaav jism ke bāhar banā rahā
alfāz tere dil ke bhī andar chale ga.e
achchhī lagī mujhe ki burī un ko kyā ġharaz
jo baat un ke dil meñ thī kah kar chale ga.e
TuuTī huī thī naav kināra qarīb thā
tūfān apnā ro.ab dikhā kar chale ga.e
teri zamin ki KHak mein mil kar chale gae
jaane yahan se kitne sikandar chale gae
mayusiyan simaT ke nazar mein sama gain
jab tum meri nigah se bahar chale gae
sharminda-e-nazar the nazar kya milate wo
kuchh log apne sar ko jhuka kar chale gae
socha tha hum ne sath guzarenge zindagi
tum to hamari soch badal kar chale gae
KHanjar ka ghaw jism ke bahar bana raha
alfaz tere dil ke bhi andar chale gae
achchhi lagi mujhe ki buri un ko kya gharaz
jo baat un ke dil mein thi kah kar chale gae
TuTi hui thi naw kinara qarib tha
tufan apna roab dikha kar chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.