teri zulf mein dil phansa chahta hai
teri zulf mein dil phansa chahta hai
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
terī zulf meñ dil phañsā chāhtā hai
ye ābād ghar ab luTā chāhtā hai
mirā dil ab un kā huā chāhtā hai
ye apnā parāyā huā chāhtā hai
ayādat ko aatā hai rashk-e-masīhā
ye bīmār achchhā huā chāhtā hai
na le jā mujhe us ke kūche meñ ai dil
tū nāhaq ko rusvā huā chāhtā hai
jo chheḌā 'haqīr' un ko maiñ ne to bole
tumheñ ab to saudā huā chāhtā hai
teri zulf mein dil phansa chahta hai
ye aabaad ghar ab luTa chahta hai
mera dil ab un ka hua chahta hai
ye apna paraya hua chahta hai
ayaadat ko aata hai rashk-e-masiha
ye bimar achchha hua chahta hai
na le ja mujhe us ke kuche mein ai dil
tu nahaq ko ruswa hua chahta hai
jo chheDa 'haqir' un ko main ne to bole
tumhein ab to sauda hua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.