teri zulfen tere ruKHsar tere lab mere
terī zulfeñ tire ruḳhsār tire lab mere
jitne pahlū haiñ tire husn ke vo sab mere
us se ab tark-e-mohabbat kā gila kyā ma.anī
mujh ko taslīm ki atvār the beDhab mere
phir vahī chāñd sar-e-shahr chaḌhe to ai kaash
us se raushan hoñ dar-o-bām bas ik shab mere
jin kā har lamha guzartā thā mirī qurbat meñ
duur o nazdīk nazar aate nahīñ ab mere
mujh se katrā ke guzar jaate haiñ derīna rafīq
rāste dekhte haiñ saḳht kaThin jab mere
ab agar khul hī ga.e ho to chalo yūñhī hī sahī
varna tum dost to pahle bhī rahe kab mere
kyuuñ mujhe shiddat-e-ehsās atā kī itnī
tujh se insāf kā tālib huuñ maiñ ai rab mere
ḳhalq kī sañg-zanī kā hai ye 'kausar' ehsān
tah meñ jis ke ga.e sab husn o qubah dab mere
teri zulfen tere ruKHsar tere lab mere
jitne pahlu hain tere husn ke wo sab mere
us se ab tark-e-mohabbat ka gila kya mani
mujh ko taslim ki atwar the beDhab mere
phir wahi chand sar-e-shahr chaDhe to ai kash
us se raushan hon dar-o-baam bas ek shab mere
jin ka har lamha guzarta tha meri qurbat mein
dur o nazdik nazar aate nahin ab mere
mujh se katra ke guzar jate hain derina rafiq
raste dekhte hain saKHt kaThin jab mere
ab agar khul hi gae ho to chalo yunhi hi sahi
warna tum dost to pahle bhi rahe kab mere
kyun mujhe shiddat-e-ehsas ata ki itni
tujh se insaf ka talib hun main ai rab mere
KHalq ki sang-zani ka hai ye 'kausar' ehsan
tah mein jis ke gae sab husn o qubah dab mere
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 366)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.