teri zulfon ke pech-o-KHam ki qasam
terī zulfoñ ke pech-o-ḳham kī qasam
chain se haiñ tere sitam kī qasam
jis ne dekhīñ so dil gañvā baiThā
terī āñkheñ vo jām-e-jam kī qasam
ham to dekhā kiye the hasrat se
surḳhī-e-lab ko chashm-e-nam kī qasam
laḌkhaḌānā hai un kī fitrat meñ
kaun khaa.e tere qadam kī qasam
jaane kab pī thī par nasha na gayā
mere saaqī tere karam kī qasam
but ga.e but-kada hai vīrāna
dil hai baaqī abhī haram kī qasam
ho mubārak tumheñ ye bazm-e-turāb
ham bhī ḳhush haiñ jahān-e-ġham kī qasam
teri zulfon ke pech-o-KHam ki qasam
chain se hain tere sitam ki qasam
jis ne dekhin so dil ganwa baiTha
teri aankhen wo jam-e-jam ki qasam
hum to dekha kiye the hasrat se
surKHi-e-lab ko chashm-e-nam ki qasam
laDkhaDana hai un ki fitrat mein
kaun khae tere qadam ki qasam
jaane kab pi thi par nasha na gaya
mere saqi tere karam ki qasam
but gae but-kada hai virana
dil hai baqi abhi haram ki qasam
ho mubarak tumhein ye bazm-e-turab
hum bhi KHush hain jahan-e-gham ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.