teri zulfon ne kiya kis pe karam raat gae
terī zulfoñ ne kiyā kis pe karam raat ga.e
kis ke hāthoñ se nikāle ga.e ḳham raat ga.e
shab-e-vā'da ke masā.ib kā nahīñ maiñ hī shikār
ghaTne lagtā hai sitāroñ kā bhī dam raat ga.e
os paḌ jaatī hai ḳhushiyoñ pe na aane se tire
sar uThāte haiñ baham ranj-o-alam raat ga.e
zabt kartā huuñ magar zabt kī had hotī hai
ham se ruktī nahīñ yalġhār-e-alam raat ga.e
ruk ga.e saañs muñdī āñkheñ uḌe hosh-o-havās
khul gayā dil ke dilāsoñ kā bharam raat ga.e
lagī-lipTī se vo hote haiñ mubarrā jazbāt
jin pe fankār uThātā hai qalam raat ga.e
rāsta dekhtī haiñ shaam se nazreñ ai 'charḳh'
vo nahīñ aate to ho jaatī haiñ nam raat ga.e
teri zulfon ne kiya kis pe karam raat gae
kis ke hathon se nikale gae KHam raat gae
shab-e-wa'da ke masaib ka nahin main hi shikar
ghaTne lagta hai sitaron ka bhi dam raat gae
os paD jati hai KHushiyon pe na aane se tere
sar uThate hain baham ranj-o-alam raat gae
zabt karta hun magar zabt ki had hoti hai
hum se rukti nahin yalghaar-e-alam raat gae
ruk gae sans mundi aankhen uDe hosh-o-hawas
khul gaya dil ke dilason ka bharam raat gae
lagi-lipTi se wo hote hain mubarra jazbaat
jin pe fankar uThata hai qalam raat gae
rasta dekhti hain sham se nazren ai 'charKH'
wo nahin aate to ho jati hain nam raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.