teshe se koi kaam na farhad se hua
teshe se koī kaam na farhād se huā
jo kuchh huā vo ishq kī imdād se huā
merī taraf jo zulf se pheñkā nikāl kar
aisā qusūr kyā dil-e-nāshād se huā
apne ḳhirām-e-nāz kī un ko ḳhabar nahīñ
kahte haiñ hashr terī hī fariyād se huā
be-hukm yuuñ kisī ko satātā nahīñ falak
mujh par ye zulm aap ke irshād se huā
'beḳhud' kī tarah kaun tumheñ jaan de sakā
ye kaam ishq meñ usī nāshād se huā
teshe se koi kaam na farhad se hua
jo kuchh hua wo ishq ki imdad se hua
meri taraf jo zulf se phenka nikal kar
aisa qusur kya dil-e-nashad se hua
apne KHiram-e-naz ki un ko KHabar nahin
kahte hain hashr teri hi fariyaad se hua
be-hukm yun kisi ko satata nahin falak
mujh par ye zulm aap ke irshad se hua
'beKHud' ki tarah kaun tumhein jaan de saka
ye kaam ishq mein usi nashad se hua
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 162)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.