tez aandhi se KHafa hai koi
tez āñdhī se ḳhafā hai koī
TuuT kar barg girā hai koī
mujh ko mahsūs huā hai aksar
diid ke paar chhupā hai koī
raat mahtāb ko dekhā to lagā
duur se dekh rahā hai koī
bujh gayā qumquma jo kamre kā
yuuñ lagā ruuTh gayā hai koī
ḳhushk jhoñkoñ kā sitam sahne ko
phuul patjhaḌ meñ khilā hai koī
raat ke bahr meñ ġhota-zan hai
niiñd ko DhūñD rahā hai koī
tez aandhi se KHafa hai koi
TuT kar barg gira hai koi
mujh ko mahsus hua hai aksar
did ke par chhupa hai koi
raat mahtab ko dekha to laga
dur se dekh raha hai koi
bujh gaya qumquma jo kamre ka
yun laga ruTh gaya hai koi
KHushk jhonkon ka sitam sahne ko
phul patjhaD mein khila hai koi
raat ke bahr mein ghota-zan hai
nind ko DhunD raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.