tez hawao ab Darna ghabrana kaisa
tez havāo ab Darnā ghabrānā kaisā
chalnā hī Thahrā to shor machānā kaisā
āñgan āñgan meñ vīrānī naach rahī hai
saaz uThānā kaisā naġhma gaanā kaisā
shaam Dhale se āseboñ kā Dañkā baaje
pūran-māshī meñ bhī bāhar aanā kaisā
ai sayyāho ye to daldal kī vaadī hai
is meñ utre ho to jaan bachānā kaisā
saare mausam ek tasalsul meñ shāmil haiñ
terā aanā kaisā terā jaanā kaisā
un kī ḳhātir ham ko sūraj hañsnā hogā
yaḳh shahroñ ko aahoñ se pighlānā kaisā
tez hawao ab Darna ghabrana kaisa
chalna hi Thahra to shor machana kaisa
aangan aangan mein virani nach rahi hai
saz uThana kaisa naghma gana kaisa
sham Dhale se aasebon ka Danka baje
puran-mashi mein bhi bahar aana kaisa
ai sayyaho ye to daldal ki wadi hai
is mein utre ho to jaan bachana kaisa
sare mausam ek tasalsul mein shamil hain
tera aana kaisa tera jaana kaisa
un ki KHatir hum ko suraj hansna hoga
yaKH shahron ko aahon se pighlana kaisa
- Book : Muasir (Pg. 231)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.