tez lahje ki ani par na uTha len ye kahin
tez lahje kī anī par na uThā leñ ye kahīñ
bachche nādān haiñ patthar na uThā leñ ye kahīñ
jin jazīroñ ko ye jaate haiñ qanā.at kar lo!
sochte rahne meñ lañgar na uThā leñ ye kahīñ
e'timād un pe karo ḳhadsha hai ye bhī varna
dast-e-sāhil se samundar na uThā leñ ye kahīñ
un ke hāthoñ kī tanābeñ haiñ zamīñ par lipTī
shahr kī aañkh se manzar na uThā leñ ye kahīñ
ahd bhī un hī kā ham-zehn hai so chup hī raheñ
aglī sadiyoñ ke calendar na uThā leñ ye kahīñ
tez lahje ki ani par na uTha len ye kahin
bachche nadan hain patthar na uTha len ye kahin
jin jaziron ko ye jate hain qanaat kar lo!
sochte rahne mein langar na uTha len ye kahin
e'timad un pe karo KHadsha hai ye bhi warna
dast-e-sahil se samundar na uTha len ye kahin
un ke hathon ki tanaben hain zamin par lipTi
shahr ki aankh se manzar na uTha len ye kahin
ahd bhi un hi ka ham-zehn hai so chup hi rahen
agli sadiyon ke calendar na uTha len ye kahin
- Book : Nai Pakistani Ghazal Naye Dastakhat (Pg. 86)
- Author : Nishat Shahid
- Publication : Miaar Publications K 20 C Shaikh Saraye Phase2 New Delhi (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.