tez mujh par jo sitamgar kī chhurī hotī hai
kījiye kyā ki lagī dil kī burī hotī hai
man.a kartā hai taḌapne se qafas meñ sayyād
naale kartā huuñ to gardan pe chhurī hotī hai
har badī kartī hai insān ko duniyā meñ halāk
sam-e-qātil hai vo aadat jo burī hotī hai
ahl-e-dil ishq meñ dam maar sakeñ kyā mumkin
rag-e-jāñ ke liye har saañs chhurī hotī hai
baiTh kyuuñ bāda-kashoñ meñ ki hoñ gum hosh-o-havās
sohbat-e-ahl-e-ḳharābāt burī hotī hai
tez mujh par jo sitamgar ki chhuri hoti hai
kijiye kya ki lagi dil ki buri hoti hai
mana karta hai taDapne se qafas mein sayyaad
nale karta hun to gardan pe chhuri hoti hai
har badi karti hai insan ko duniya mein halak
sam-e-qatil hai wo aadat jo buri hoti hai
ahl-e-dil ishq mein dam mar saken kya mumkin
rag-e-jaan ke liye har sans chhuri hoti hai
baiTh kyun baada-kashon mein ki hon gum hosh-o-hawas
sohbat-e-ahl-e-KHarabaat buri hoti hai
Source :
- Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 262)
- Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
-
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.