tha aasman par jo sitara nahin raha
thā āsmān par jo sitāra nahīñ rahā
yādash-ba-ḳhair ab vo hamārā nahīñ rahā
jo din guzar ga.e vo guzar hī ga.e so ab
yādoñ ke mā-sivā koī chāra nahīñ rahā
sail-e-ravāñ meñ gum hai nishān-e-muhīt-e-āb
ai mauj-e-muztarib vo kinārā nahīñ rahā
tanhā the jab to aañkh ke aañsū bhī dil meñ the
vo aa gayā to zabt kā yaarā nahīñ rahā
tha aasman par jo sitara nahin raha
yaadash-ba-KHair ab wo hamara nahin raha
jo din guzar gae wo guzar hi gae so ab
yaadon ke ma-siwa koi chaara nahin raha
sail-e-rawan mein gum hai nishan-e-muhit-e-ab
ai mauj-e-muztarib wo kinara nahin raha
tanha the jab to aankh ke aansu bhi dil mein the
wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha
- Book : Soch Nager (Pg. 95)
- Author : Hassan Aabid
- Publication : Karwa.n Publications (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.