tha ajal ka main ajal ka ho gaya
thā ajal kā maiñ ajal kā ho gayā
biich meñ chauñkā to thā phir so gayā
lutf to ye hai ki aap apnā nahīñ
jo huā terā vo terā ho gayā
kaaTe khātī hai mujhe vīrānagī
kaun is madfan pe aa kar ro gayā
bahr-e-hastī ke umuq ko kyā batā.ūñ
Duub kar maiñ 'shād' is meñ kho gayā
tha ajal ka main ajal ka ho gaya
bich mein chaunka to tha phir so gaya
lutf to ye hai ki aap apna nahin
jo hua tera wo tera ho gaya
kaTe khati hai mujhe viranagi
kaun is madfan pe aa kar ro gaya
bahr-e-hasti ke umuq ko kya bataun
Dub kar main 'shad' is mein kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.