tha anjuman mein ghair ki dilbar bana hua
thā anjuman meñ ġhair kī dilbar banā huā
baiThā hai mere sāmne patthar banā huā
ban kar bigaḌnā 'arsa-e-hastī ke khel haiñ
bigḌā hazār baar muqaddar banā huā
aa jaao dil meñ raunaq-e-har-zindagī liye
maujūd hai tumhāre liye ghar banā huā
ik shaḳhs mere saath hī rahtā hai rāt-din
ā.īna-e-hayāt kā jauhar banā huā
patthar phir us ke haath meñ kis ne thamā diye
ḳhūnīñ hai raah raah kā manzar banā huā
ahl-e-nazar hai badr 'jamālī' na ahl-e-fan
itrātā phir rahā hai suḳhanvar banā huā
tha anjuman mein ghair ki dilbar bana hua
baiTha hai mere samne patthar bana hua
ban kar bigaDna 'arsa-e-hasti ke khel hain
bigDa hazar bar muqaddar bana hua
aa jao dil mein raunaq-e-har-zindagi liye
maujud hai tumhaare liye ghar bana hua
ek shaKHs mere sath hi rahta hai raat-din
aaina-e-hayat ka jauhar bana hua
patthar phir us ke hath mein kis ne thama diye
KHunin hai rah rah ka manzar bana hua
ahl-e-nazar hai badr 'jamali' na ahl-e-fan
itraata phir raha hai suKHanwar bana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.