tha dam-e-hawas hi kuchh aisa wo lauT ke aana bhul gaya
tha dam-e-hawas hi kuchh aisa wo lauT ke aana bhul gaya
Hakeem Razi Adeebi Ashrafi
MORE BYHakeem Razi Adeebi Ashrafi
thā dām-e-havas hī kuchh aisā vo lauT ke aanā bhuul gayā
jo bastī bastī phirtā thā vo ghar kā rasta bhuul gayā
vo lamha kaisā lamha thā jab un se nazar Takrā.ī thī
ye manzil kaun sī manzil hai maiñ hosh meñ aanā bhuul gayā
ye baat sabhī ke ilm meñ hai aur saarā zamāna shāhid hai
vo shaḳhs zalīl-o-ḳhvār huā jo dard kā rishta bhuul gayā
vo sāmne the to kah na sakā jab lauT ga.e to yaad aaya
ye bhuul gayā vo bhuul gayā maiñ jaane kyā kyā bhuul gayā
ḳhush-fahmī kahāñ le aa.ī hai ab maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
maiñ bhuul gayā thā duniyā ko mujh ko bhī zamāna bhuul gayā
auroñ ke liye marham le kar maiñ galiyoñ galiyoñ bhaTkā huuñ
kyā kahiye magar ḳhud apne hī zaḳhmoñ kā mudāvā bhuul gayā
nairangī-e-ālam ne 'rāzī' vo talḳh haqā.eq baḳhshe haiñ
vo apnī kahānī bhuul ga.e maiñ apnā fasāna bhuul gayā
tha dam-e-hawas hi kuchh aisa wo lauT ke aana bhul gaya
jo basti basti phirta tha wo ghar ka rasta bhul gaya
wo lamha kaisa lamha tha jab un se nazar Takrai thi
ye manzil kaun si manzil hai main hosh mein aana bhul gaya
ye baat sabhi ke ilm mein hai aur sara zamana shahid hai
wo shaKHs zalil-o-KHwar hua jo dard ka rishta bhul gaya
wo samne the to kah na saka jab lauT gae to yaad aaya
ye bhul gaya wo bhul gaya main jaane kya kya bhul gaya
KHush-fahmi kahan le aai hai ab main hun meri tanhai hai
main bhul gaya tha duniya ko mujh ko bhi zamana bhul gaya
auron ke liye marham le kar main galiyon galiyon bhaTka hun
kya kahiye magar KHud apne hi zaKHmon ka mudawa bhul gaya
nairangi-e-alam ne 'raazi' wo talKH haqaeq baKHshe hain
wo apni kahani bhul gae main apna fasana bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.