tha faKHr jis pe mujhko meri zat ki tarah
thā faḳhr jis pe mujh ko mirī zaat kī tarah
badlā hai vo bhī sūrat-e-hālāt kī tarah
fikr-e-ma.āsh zehn pe jab se muhīt hai
hai din kī raushnī bhī mujhe raat kī tarah
ummīd-e-vasl kā huā jo jaam chuur chuur
barse haiñ ashk aañkh se barsāt kī tarah
ab tak hai yaad aap kā andāz-e-guftugū
mujh ko surūr-o-kaif ke naġhmāt kī tarah
tab zindagī kā lutf hai yā-rab jahān meñ
un kī nazar ho ain ināyāt kī tarah
ġhash khā ke āḳhirash vo girā dushman-e-ḳhulūs
merā janāza dekh ke bārāt kī tarah
guzrī hai apnī zindagī tere firāq meñ
bismil ke karb-dāshta lamhāt kī tarah
ye kyā huā ki dil pe guzarne lagī girāñ
ab to ḳhushī kī baat bhī sadmāt kī tarah
'sā.ir' ye kyā huā hai zamāne kī chaal ko
miltā hai ab ḳhulūs bhī sauġhāt kī tarah
tha faKHr jis pe mujh ko meri zat ki tarah
badla hai wo bhi surat-e-haalat ki tarah
fikr-e-maash zehn pe jab se muhit hai
hai din ki raushni bhi mujhe raat ki tarah
ummid-e-wasl ka hua jo jam chur chur
barse hain ashk aankh se barsat ki tarah
ab tak hai yaad aap ka andaz-e-guftugu
mujh ko surur-o-kaif ke naghmat ki tarah
tab zindagi ka lutf hai ya-rab jahan mein
un ki nazar ho ain inayat ki tarah
ghash kha ke aaKHirash wo gira dushman-e-KHulus
mera janaza dekh ke baraat ki tarah
guzri hai apni zindagi tere firaq mein
bismil ke karb-dashta lamhat ki tarah
ye kya hua ki dil pe guzarne lagi giran
ab to KHushi ki baat bhi sadmat ki tarah
'sair' ye kya hua hai zamane ki chaal ko
milta hai ab KHulus bhi saughat ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.