tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab
thā ġhair kā jo ranj-e-judā.ī tamām shab
niiñd un ko mere saath na aa.ī tamām shab
shikva mujhe na ho jo mukāfāt had se ho
vaañ sulh ek dam hai laḌā.ī tamām shab
ye Dar rahā ki sote na paa.eñ kahīñ mujhe
vā'de kī raat niiñd na aa.ī tamām shab
sach to ye hai ki bol ga.e aksar ahl-e-shauq
bulbul ne kī jo nāla-sarā.ī tamām shab
dam bhar bhī 'umr khoī jo zikr-e-raqīb meñ
kaifiyat-e-visāl na paa.ī tamām shab
thoḌā sā mere haal pe farmā kar iltifāt
karte rahe vo apnī baḌā.ī tamām shab
vo aah taar o paud ho jis kā havā-e-zulf
kartī hai ambarī o sabā.ī tamām shab
vo sub.h jalva jalvagar-e-bāġh thā jo raat
murġh-e-sahar ne dhuum machā.ī tamām shab
afsāne se bigāḌ hai an-ban hai ḳhvāb se
hai fikr-e-vasl o zikr-e-judā.ī tamām shab
jis kī shamīm-e-zulf pe maiñ ġhash huuñ 'shefta'
us ne shamīm-e-zulf suñghā.ī tamām shab
tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab
nind un ko mere sath na aai tamam shab
shikwa mujhe na ho jo mukafat had se ho
wan sulh ek dam hai laDai tamam shab
ye Dar raha ki sote na paen kahin mujhe
wa'de ki raat nind na aai tamam shab
sach to ye hai ki bol gae aksar ahl-e-shauq
bulbul ne ki jo nala-sarai tamam shab
dam bhar bhi 'umr khoi jo zikr-e-raqib mein
kaifiyat-e-visal na pai tamam shab
thoDa sa mere haal pe farma kar iltifat
karte rahe wo apni baDai tamam shab
wo aah tar o paud ho jis ka hawa-e-zulf
karti hai ambari o sabai tamam shab
wo subh jalwa jalwagar-e-bagh tha jo raat
murgh-e-sahar ne dhum machai tamam shab
afsane se bigaD hai an-ban hai KHwab se
hai fikr-e-wasl o zikr-e-judai tamam shab
jis ki shamim-e-zulf pe main ghash hun 'shefta'
us ne shamim-e-zulf sunghai tamam shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.