tha intizar ki ab aaega nahin aaya
thā intizār ki ab aa.egā nahīñ aayā
kahīñ vo moḌ rah-e-'ishq kā nahīñ aayā
vo lamha haa.e hamāre qarīb aane kā
qarīb aa gayā thā kyā huā nahīñ aayā
jo haal thā mirā anjām jānte the sabhī
so rishte-dār koī duur kā nahīñ aayā
maiñ kār-e-'ishq meñ māhir thā jo ki thā mushkil
bhulānā kaam thā āsān sā nahīñ aayā
thī aur bhī ka.ī rāheñ jo mujh tak aatī thiiñ
vo aur raah pe chaltā rahā nahīñ aayā
na pūchh aañkh se kyoñ bah rahī hai ret mire
na pūchh dasht meñ maiñ aaj kā nahīñ aayā
tha intizar ki ab aaega nahin aaya
kahin wo moD rah-e-'ishq ka nahin aaya
wo lamha hae hamare qarib aane ka
qarib aa gaya tha kya hua nahin aaya
jo haal tha mera anjam jaante the sabhi
so rishte-dar koi dur ka nahin aaya
main kar-e-'ishq mein mahir tha jo ki tha mushkil
bhulana kaam tha aasan sa nahin aaya
thi aur bhi kai rahen jo mujh tak aati thin
wo aur rah pe chalta raha nahin aaya
na puchh aankh se kyon bah rahi hai ret mere
na puchh dasht mein main aaj ka nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.