tha intizar mujhe chand ke nikalne ka
thā intizār mujhe chāñd ke nikalne kā
ye vaqt hai mire ehsās ke pighalne kā
sunahre rang kī dikhtī hai zindagī yaaro
hai pur-sukūñ ye nazāra alaav jalne kā
vo aañch chhoḌ gayā muskurāte hoñToñ kī
kiyā thā ahd kabhī jis ne saath chalne kā
vo laḌkhaḌā gayā ḳhud haath chhoḌ kar merā
jo de rahā thā mujhe mashvara sañbhalne kā
unīñdī palkoñ tale dekhtā rahā shab-bhar
nazārā ḳhvāb kī parchhā.iyoñ meñ Dhalne kā
na mere pañkh khule aur na zindagī badlī
mujhe na aaya hunar baḳht ko badalne kā
tha intizar mujhe chand ke nikalne ka
ye waqt hai mere ehsas ke pighalne ka
sunahre rang ki dikhti hai zindagi yaro
hai pur-sukun ye nazara alaw jalne ka
wo aanch chhoD gaya muskuraate honTon ki
kiya tha ahd kabhi jis ne sath chalne ka
wo laDkhaDa gaya KHud hath chhoD kar mera
jo de raha tha mujhe mashwara sanbhalne ka
unindi palkon tale dekhta raha shab-bhar
nazara KHwab ki parchhaiyon mein Dhalne ka
na mere pankh khule aur na zindagi badli
mujhe na aaya hunar baKHt ko badalne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.