tha jaanib-e-dil subh-dam wo KHush-KHiram aaya hua
thā jānib-e-dil sub.h-dam vo ḳhush-ḳhirām aayā huā
aadhā qadam sū-e-gurez aur nīm-gām aayā huā
raqs aur pā-kūbī karūñ lāzim hai majzūbī karūñ
dekho to hai merā sanam merā imaam aayā huā
dariyā-e-darveshī ke beach tūfān-e-be-ḳhveshī ke beach
vo gauhar-e-sairāb vo sāhab-maqām aayā huā
ai dil batā ai chashm kah ye rū-e-dil-bar hī to hai
yā māh-e-charḳh-haft meñ bālā-e-bām aayā huā
hai zarra zarra par sadā ahlav-va-sahlan marhabā
kyā sar-zamīn-e-dil pe hai vo aaj shaam aayā huā
tujh par paḌī ye kī chhūT ai chashm-e-hairāñ kuchh to phuuT
kyā hadd-e-bīnā.ī meñ hai vo ġhaib-e-fām aayā huā
larzāñ hai dil meñ raaz sā sho.ala qadīm-āvām sā
yā lāla-e-ḳhāmosh par rañg-e-davām aayā huā
hai mausam-e-dīvāngī phir chaak ījād mirī
lauTā rahe haiñ pahle kā ḳhayyāt kaam aayā huā
merī taraf se ai aziiz dil meñ na rakhnā koī chiiz
phirte bhī dekhā hai kahīñ sāhab ġhulām aayā huā
ḳhurshīd-sāmānī tirī aur zarra-dāmānī mirī
hai ajūba dekhne har ḳhās-o-ām aayā huā
ik girdāḌī sahrā samet ik mauj uThī dariyā samet
duniyā-e-ḳhāk-o-āb meñ thā koī shaam aayā huā
yak umr-raftārī ke saath yak māh-sayyārī ke saath
yak charḳh-e-davārī ke saath gardish meñ jaam aayā huā
sad-chashm bedārī ke saath sad-sīna sarshārī ke saath
sau sau tarah shahbāz dil hai zer-e-dām aayā huā
tha jaanib-e-dil subh-dam wo KHush-KHiram aaya hua
aadha qadam su-e-gurez aur nim-gam aaya hua
raqs aur pa-kubi karun lazim hai majzubi karun
dekho to hai mera sanam mera imam aaya hua
dariya-e-darweshi ke beach tufan-e-be-KHweshi ke beach
wo gauhar-e-sairab wo sahab-maqam aaya hua
ai dil bata ai chashm kah ye ru-e-dil-bar hi to hai
ya mah-e-charKH-haft mein baala-e-baam aaya hua
hai zarra zarra par sada ahlaw-wa-sahlan marhaba
kya sar-zamin-e-dil pe hai wo aaj sham aaya hua
tujh par paDi ye ki chhuT ai chashm-e-hairan kuchh to phuT
kya hadd-e-binai mein hai wo ghaib-e-fam aaya hua
larzan hai dil mein raaz sa shoala qadim-awam sa
ya lala-e-KHamosh par rang-e-dawam aaya hua
hai mausam-e-diwangi phir chaak ijad meri
lauTa rahe hain pahle ka KHayyat kaam aaya hua
meri taraf se ai aziz dil mein na rakhna koi chiz
phirte bhi dekha hai kahin sahab ghulam aaya hua
KHurshid-samani teri aur zarra-damani meri
hai ajuba dekhne har KHas-o-am aaya hua
ek girdaDi sahra samet ek mauj uThi dariya samet
duniya-e-KHak-o-ab mein tha koi sham aaya hua
yak umr-raftari ke sath yak mah-sayyari ke sath
yak charKH-e-dawari ke sath gardish mein jam aaya hua
sad-chashm bedari ke sath sad-sina sarshaari ke sath
sau sau tarah shahbaz dil hai zer-e-dam aaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.