tha kahan likhna use lekin kahan par likh diya
thā kahāñ likhnā use lekin kahāñ par likh diyā
maiñ zamīñ kā harf mujh ko āsmāñ par likh diyā
jis ke paḌhne se rahī qāsir bhañvar kī aañkh bhī
kaun jaane kyā havā ne bādbāñ par likh diyā
kuchh to kar dariyā mire in ko Dubo yā paar kar
kashtiyoñ ne apnā dukh āb-e-ravāñ par likh diyā
baiTh kar ab zard pattoñ ke varaq palTā karo
tabsira likhne ko mausam ne ḳhizāñ par likh diyā
hashr meñ ḳhāna-ḳharābī ko Thikāna chāhiye
us ne merā naam bhī apne makāñ par likh diyā
aur bā-ma.anī huā tashkīk kā pichhlā nisāb
kyā kahūñ ahl-e-yaqīñ ne kyā gumāñ par likh diyā
tum ise kah lo hisāb-e-dostāñ-dar-dil 'fazā'
ham ne apnā naf.a bhī lauh-e-ziyāñ par likh diyā
tha kahan likhna use lekin kahan par likh diya
main zamin ka harf mujh ko aasman par likh diya
jis ke paDhne se rahi qasir bhanwar ki aankh bhi
kaun jaane kya hawa ne baadban par likh diya
kuchh to kar dariya mere in ko Dubo ya par kar
kashtiyon ne apna dukh aab-e-rawan par likh diya
baiTh kar ab zard patton ke waraq palTa karo
tabsira likhne ko mausam ne KHizan par likh diya
hashr mein KHana-KHarabi ko Thikana chahiye
us ne mera nam bhi apne makan par likh diya
aur ba-mani hua tashkik ka pichhla nisab
kya kahun ahl-e-yaqin ne kya guman par likh diya
tum ise kah lo hisab-e-dostan-dar-dil 'faza'
hum ne apna nafa bhi lauh-e-ziyan par likh diya
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 253)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.