tha man bahut jis pe judai nahin deta
thā maan bahut jis pe judā.ī nahīñ detā
ab DhūñD rahā huuñ to dikhā.ī nahīñ detā
tū qad meñ baḌā hai so mujhe chīḳhnā hogā
kahte haiñ bulandī pe sunā.ī nahīñ detā
par kaaT ke vo bāb-e-qafas khol rahā hai
aisā bhī nahīñ hai ki rihā.ī nahīñ detā
raushan hai vo itnā ki use duur se dekho
nazdīk se vo shaḳhs dikhā.ī nahīñ detā
andhā hai jise saañs dikhā.ī nahīñ detī
bahrā hai jise zaḳhm sunā.ī nahīñ detā
vo shaḳhs na bole to mujhe lagtā hai aise
jaise koī barsoñ kī kamā.ī nahīñ detā
tha man bahut jis pe judai nahin deta
ab DhunD raha hun to dikhai nahin deta
tu qad mein baDa hai so mujhe chiKHna hoga
kahte hain bulandi pe sunai nahin deta
par kaT ke wo bab-e-qafas khol raha hai
aisa bhi nahin hai ki rihai nahin deta
raushan hai wo itna ki use dur se dekho
nazdik se wo shaKHs dikhai nahin deta
andha hai jise sans dikhai nahin deti
bahra hai jise zaKHm sunai nahin deta
wo shaKHs na bole to mujhe lagta hai aise
jaise koi barson ki kamai nahin deta
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.