tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra
thā makān-e-dil kisī aur kā pa rahā basā koī dūsrā
maiñ kisī ke hijr meñ muztarib mujhe chāhtā koī dūsrā
tirā rañg sab se judā sahī tirī shakl sab se hasīñ magar
mirā mubtadā koī aur hai mirā muntahā koī dūsrā
mire log gard-o-ġhubār meñ tire yaar tere dayār meñ
tū asīr-e-manzil-e-shash-jihat mirā rāsta koī dūsrā
maiñ zarā sī baat pe ruuTh kar to nahīñ gayā tirī bazm se
mire mehrbāñ kabhī sochtā thā mo.āmla koī dūsrā
yahī āsmāñ mirā aasrā yahī ḳhāk-e-ḳhil.at-e-be-bahā
mirī jā.edād-e-junūñ jise nahīñ bāñTtā koī dūsrā
tha makan-e-dil kisi aur ka pa raha basa koi dusra
main kisi ke hijr mein muztarib mujhe chahta koi dusra
tera rang sab se juda sahi teri shakl sab se hasin magar
mera mubtada koi aur hai mera muntaha koi dusra
mere log gard-o-ghubar mein tere yar tere dayar mein
tu asir-e-manzil-e-shash-jihat mera rasta koi dusra
main zara si baat pe ruTh kar to nahin gaya teri bazm se
mere mehrban kabhi sochta tha moamla koi dusra
yahi aasman mera aasra yahi KHak-e-KHilat-e-be-baha
meri jaedad-e-junun jise nahin banTta koi dusra
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 390)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.