tha muKHtasar wajud jasim-o-jari na thi
thā muḳhtasar vajūd jasīm-o-jarī na thī
kirnoñ se āftāb kī shabnam Darī na thī
aate the us zabān pe bas lafz-e-bā-vaqār
vo mo'tabar zabān thī mīThī chhurī na thī
arbāb-e-fikr-o-phan bhī ta.assub kī zad pe haiñ
duniyā burī to thī magar itnī burī na thī
'ābid' ko bād-e-marg bhī rakheñge yaad sab
jo zindagī guzārī vo bāzīgarī na thī
tha muKHtasar wajud jasim-o-jari na thi
kirnon se aaftab ki shabnam Dari na thi
aate the us zaban pe bas lafz-e-ba-waqar
wo mo'tabar zaban thi miThi chhuri na thi
arbab-e-fikr-o-phan bhi tassub ki zad pe hain
duniya buri to thi magar itni buri na thi
'abid' ko baad-e-marg bhi rakhenge yaad sab
jo zindagi guzari wo bazigari na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.