tha nasheman ki bulandi pe Thikana mushkil
thā nasheman kī bulandī pe Thikānā mushkil
kaise guzre mire din raat batānā mushkil
muddatoñ saath añdheroñ kā diyā hai maiñ ne
ab ujāloñ se huā haath milānā mushkil
kyā koī ġhair ke bhī vāste royā hogā
aaj hai ḳhud pe bhī do ashk bahānā mushkil
mere aate hī machī shahr meñ tere halchal
ab to rusvā.ī se hai tujh ko bachānā mushkil
baḌh to aa.ī haiñ vo zulfeñ mujhe Dasne ke liye
aisī rātoñ kā hai ab saath nibhānā mushkil
har qadam par thī ta.āqub meñ mire nākāmī
sham-e-ummīd kā phir bhī thā bujhānā mushkil
aisī gūñje hai kahīñ duur koī shahnā.ī
ki tirī yaad se dāman hai bachānā mushkil
tha nasheman ki bulandi pe Thikana mushkil
kaise guzre mere din raat batana mushkil
muddaton sath andheron ka diya hai main ne
ab ujalon se hua hath milana mushkil
kya koi ghair ke bhi waste roya hoga
aaj hai KHud pe bhi do ashk bahana mushkil
mere aate hi machi shahr mein tere halchal
ab to ruswai se hai tujh ko bachana mushkil
baDh to aai hain wo zulfen mujhe Dasne ke liye
aisi raaton ka hai ab sath nibhana mushkil
har qadam par thi taaqub mein mere nakaami
sham-e-ummid ka phir bhi tha bujhana mushkil
aisi gunje hai kahin dur koi shahnai
ki teri yaad se daman hai bachana mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.