tha nisf un ka aur wo pura liye hue
thā nisf un kā aur vo puurā liye hue
baiThe haiñ mere hisse kā hissa liye hue
āñkhoñ meñ apnī sāġhar-o-mīnā liye hue
chaḌh jaa.e bin piye hī vo nashsha liye hue
tanhā.iyāñ sameT ke baiThe haiñ ham ḳhamosh
jaise ki koī kuuze meñ dariyā liye hue
mohsin haiñ mere yā ki haiñ dushman nahīñ ḳhabar
vo ghūmte haiñ chehre pe chehra liye hue
gardish hamāre sāmne aatī hai din-ba-din
vo hī purānā roz kā qissa liye hue
karne ko qatl merā haiñ bechain kis qadar
nāgin ho jaise aañkh meñ badlā liye hue
ik roz maut ko hī lagā leñge ham gale
jiine kī dil meñ yūñhī tamanna liye hue
'ātif' se pyaar hai unheñ shāyad isī liye
baiThe haiñ us kā bazm meñ charchā liye hue
tha nisf un ka aur wo pura liye hue
baiThe hain mere hisse ka hissa liye hue
aankhon mein apni saghar-o-mina liye hue
chaDh jae bin piye hi wo nashsha liye hue
tanhaiyan sameT ke baiThe hain hum KHamosh
jaise ki koi kuze mein dariya liye hue
mohsin hain mere ya ki hain dushman nahin KHabar
wo ghumte hain chehre pe chehra liye hue
gardish hamare samne aati hai din-ba-din
wo hi purana roz ka qissa liye hue
karne ko qatl mera hain bechain kis qadar
nagin ho jaise aankh mein badla liye hue
ek roz maut ko hi laga lenge hum gale
jine ki dil mein yunhi tamanna liye hue
'atif' se pyar hai unhen shayad isi liye
baiThe hain us ka bazm mein charcha liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.