tha sard sa kisi ke jawabaat ka badan
thā sard sā kisī ke javābāt kā badan
tanhā jalā hai mere savālāt kā badan
bach bach ke sub.h-o-shām kī taaza havāoñ se
bīmār ho gayā hai rivāyāt kā badan
is saal mo.ajiza ye ajab rūnumā huā
sūkhā dikhā.ī detā hai barsāt kā badan
chhū is ko ai asīr-e-tamanna adab ke saath
nāzuk bahut hai un kī ināyāt kā badan
patthar sā saḳht us kā ravayya hai ai 'nadīm'
phūloñ sā narm hai mire jazbāt kā badan
tha sard sa kisi ke jawabaat ka badan
tanha jala hai mere sawalat ka badan
bach bach ke subh-o-sham ki taza hawaon se
bimar ho gaya hai riwayat ka badan
is sal moajiza ye ajab runuma hua
sukha dikhai deta hai barsat ka badan
chhu is ko ai asir-e-tamanna adab ke sath
nazuk bahut hai un ki inayat ka badan
patthar sa saKHt us ka rawayya hai ai 'nadim'
phulon sa narm hai mere jazbaat ka badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.