Thahar gaya hai ek hi manzar kamre mein
Thahar gayā hai ek hī manzar kamre meñ
maiñ terī tasvīr december kamre meñ
maiñ terī yādoñ kī bārish tez havā
tanhā bhiig rahā hai bistar kamre meñ
maiñ dariyā ke paar kī soch rahā huuñ aur
dar aayā hai ek samundar kamre meñ
le aa.ī hai galiyoñ meñ ik aag mujhe
chhoḌ aayā huuñ ThanDā bistar kamre meñ
ḳhauf-zada haiñ ghar kī saarī dīvāreñ
Derā Daale baiThā hai Dar kamre meñ
āñgan meñ hai jaarī raqs havāoñ kā
sahmā baiThā ek qalandar kamre meñ
kaun ḳhizāñ meñ phuul khilāne aayā hai
kis kī ḳhushbū hai ye banjar kamre meñ
āñgan meñ hai sūne-pan kā raaj 'ausāf'
chīḳh rahī hai tanhā.ī har kamre meñ
Thahar gaya hai ek hi manzar kamre mein
main teri taswir december kamre mein
main teri yaadon ki barish tez hawa
tanha bhig raha hai bistar kamre mein
main dariya ke par ki soch raha hun aur
dar aaya hai ek samundar kamre mein
le aai hai galiyon mein ek aag mujhe
chhoD aaya hun ThanDa bistar kamre mein
KHauf-zada hain ghar ki sari diwaren
Dera Dale baiTha hai Dar kamre mein
aangan mein hai jari raqs hawaon ka
sahma baiTha ek qalandar kamre mein
kaun KHizan mein phul khilane aaya hai
kis ki KHushbu hai ye banjar kamre mein
aangan mein hai sune-pan ka raj 'ausaf'
chiKH rahi hai tanhai har kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.