Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thahar ke rah mein kuchh der intizar karo

Haleema Sadiya Shagufta

Thahar ke rah mein kuchh der intizar karo

Haleema Sadiya Shagufta

MORE BYHaleema Sadiya Shagufta

    Thahar ke raah meñ kuchh der intizār karo

    vafā karo na karo merā e.atibār karo

    hai qaid maz.hab-o-millat girāñ tumhāre liye

    adā kabhī to namāz-e-sad-iftiḳhār karo

    hai bevafā baḌī zālim hasīna māh-jabīñ

    kabhī to us bharosa be-iḳhtiyār karo

    gavārā mujh ko nahīñ thī tumhārī rusvā.ī

    thā vo junūn mirā mujh pe e.atibār karo

    kabhī to pyaar se merā bhī naam tum likkho

    mirī tasallī ko kuchh mere ġham-gusār karo

    'shagufta' itnī bhī ġhaflat tumhārī Thiik nahīñ

    kabhī to haq ke liye apnī jaañ nisār karo

    Thahar ke rah mein kuchh der intizar karo

    wafa karo na karo mera eatibar karo

    hai qaid mazhab-o-millat giran tumhaare liye

    ada kabhi to namaz-e-sad-iftiKHar karo

    hai bewafa baDi zalim hasina mah-jabin

    kabhi to us ka bharosa be-iKHtiyar karo

    gawara mujh ko nahin thi tumhaari ruswai

    tha wo junun mera mujh pe eatibar karo

    kabhi to pyar se mera bhi nam tum likkho

    meri tasalli ko kuchh mere gham-gusar karo

    'shagufta' itni bhi ghaflat tumhaari Thik nahin

    kabhi to haq ke liye apni jaan nisar karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now