Thahar Thahar ke KHudara kalam kijiye nan
Thahar Thahar ke ḳhudārā kalām kījiye naañ
udaas shab kā bhī kuchh ehtirām kījiye naañ
sunā hai aap kī āñkheñ haiñ bādshāh āñkheñ
nazar uThā.iye ham ko ġhulām kījiye naañ
ye chand ahl-e-mohabbat kā pīr-o-murshid hai
ye aa gayā hai to uTh kar salām kījiye naañ
vo shaam jis meñ sitāroñ ke bhaag jāgte haiñ
ik aisī shaam hamāre bhī naam kījiye naañ
maqām-e-ishq ko 'shahbāz' gar samajhnā hai
to dil ke ġhār-e-hirā meñ qiyām kījiye naañ
Thahar Thahar ke KHudara kalam kijiye nan
udas shab ka bhi kuchh ehtiram kijiye nan
suna hai aap ki aankhen hain baadshah aankhen
nazar uThaiye hum ko ghulam kijiye nan
ye chand ahl-e-mohabbat ka pir-o-murshid hai
ye aa gaya hai to uTh kar salam kijiye nan
wo sham jis mein sitaron ke bhag jagte hain
ek aisi sham hamare bhi nam kijiye nan
maqam-e-ishq ko 'shahbaz' gar samajhna hai
to dil ke ghaar-e-hira mein qiyam kijiye nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.