Thaharne ka sabab koi nahin hai
Thaharne kā sabab koī nahīñ hai
pas-e-dīvār jab koī nahīñ hai
ye dil maskan ḳhumār-e-rā.egāñ kā
yahāñ jashn-e-tarab koī nahīñ hai
baḌī 'izzat hai merī us ke dil meñ
sar-e-mahfil adab koī nahīñ hai
bahut kuchh māñgte haiñ ahl-e-duniyā
magar husn-e-talab koī nahīñ hai
mohabbat ke sarāb-e-mustaqil meñ
hisāb-e-roz-o-shab koī nahīñ hai
añdhere kis tarah kāfūr hoñge
kisī meñ tāb-o-tab koī nahīñ hai
Thaharne ka sabab koi nahin hai
pas-e-diwar jab koi nahin hai
ye dil maskan KHumar-e-raegan ka
yahan jashn-e-tarab koi nahin hai
baDi 'izzat hai meri us ke dil mein
sar-e-mahfil adab koi nahin hai
bahut kuchh mangte hain ahl-e-duniya
magar husn-e-talab koi nahin hai
mohabbat ke sarab-e-mustaqil mein
hisab-e-roz-o-shab koi nahin hai
andhere kis tarah kafur honge
kisi mein tab-o-tab koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.