Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani
Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
Thaharne ko hai bastī ke dar-o-dīvār par paanī
ki ab patthar meñ Dhaltī jā rahī hai mauj-e-hairānī
ḳhayāl aatā hai shahr-e-ārzū ko chhoḌ dene kā
bahut dushvār ho jaatī hai jab bhī koī āsānī
yaqīñ aayā ki arzāñ hai matā-e-lutf duniyā meñ
natīja hai adū kī qadr karne kā pashemānī
musalsal baḌh rahā huuñ jāda-e-islām par ab tak
magar ḳhush aa.egā kis ko mirā turr-e-musalmānī
vahī sūrat vahī atvār-e-nek-o-bad vahī lahja
vo pal-bhar meñ kahīñ se DhūñD laayā hai mirā saanī
mire sheroñ meñ bahtā hai samundar mere virse kā
ki maiñ gulshan-tarāz-e-rañg-e-sohbāñ huuñ na ḳhāqānī
judā.ī kī kasak miT jā.egī 'sājid' mire dil se
agar pahchān le baḌh kar mujhe vo dilbar-e-jānī
Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani
ki ab patthar mein Dhalti ja rahi hai mauj-e-hairani
KHayal aata hai shahr-e-arzu ko chhoD dene ka
bahut dushwar ho jati hai jab bhi koi aasani
yaqin aaya ki arzan hai mata-e-lutf duniya mein
natija hai adu ki qadr karne ka pashemani
musalsal baDh raha hun jada-e-islam par ab tak
magar KHush aaega kis ko mera turr-e-musalmani
wahi surat wahi atwar-e-nek-o-bad wahi lahja
wo pal-bhar mein kahin se DhunD laya hai mera sani
mere sheron mein bahta hai samundar mere wirse ka
ki main gulshan-taraaz-e-rang-e-sohban hun na KHaqani
judai ki kasak miT jaegi 'sajid' mere dil se
agar pahchan le baDh kar mujhe wo dilbar-e-jaani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.