Thahra ke ek adhuri mulaqat der tak
Thahrā ke ek adhūrī mulāqāt der tak
do saa.e sar-ba-zānū the kal raat der tak
niklā na saañs bhar kisī gul-dā.ere se paañv
thī mahv-e-bāzgasht koī baat der tak
maiñ rasm-e-alvidā.a meñ bhī kam-suḳhan rahā
lahrā.e baar baar mire haath der tak
aur shart-e-guftugū ko tarah de ke ek baar
vo bhī sulag uThā thā mire saath der tak
tartīb boltī hai salīqa usī kā hai
ye haath chhū na pā.eñge sauġhāt der tak
Thahra ke ek adhuri mulaqat der tak
do sae sar-ba-zanu the kal raat der tak
nikla na sans bhar kisi gul-daere se panw
thi mahw-e-bazgasht koi baat der tak
main rasm-e-alwidaa mein bhi kam-suKHan raha
lahrae bar bar mere hath der tak
aur shart-e-guftugu ko tarah de ke ek bar
wo bhi sulag uTha tha mere sath der tak
tartib bolti hai saliqa usi ka hai
ye hath chhu na paenge saughat der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.