Thahra na kuchh yahan pe jo aaya wo bik gaya
Thahrā na kuchh yahāñ pe jo aayā vo bik gayā
bāzār meñ bas ek ḳharīdār Tik gayā
ik do minute hī aañkh lagī hogī merī bas
kyā be-qarār ḳhvāb thā itne meñ dikh gayā
dekhā vo band rāsta aage khulā milā
jo jiite jī na dekhā vo marne pe dikh gayā
'āmir' tumhāre she'r pe hone lagī hai baat
kuchh tum ko bhī shu'ūr hai kyā tum se likh gayā
Thahra na kuchh yahan pe jo aaya wo bik gaya
bazar mein bas ek KHaridar Tik gaya
ek do minute hi aankh lagi hogi meri bas
kya be-qarar KHwab tha itne mein dikh gaya
dekha wo band rasta aage khula mila
jo jite ji na dekha wo marne pe dikh gaya
'amir' tumhaare she'r pe hone lagi hai baat
kuchh tum ko bhi shu'ur hai kya tum se likh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.