Thahraw aa gaya hai kuchh aisa zindagi mein
Thahrāv aa gayā hai kuchh aisā zindagī meñ
ki bahte bahte jharnā mil jaa.e juuñ nadī meñ
puujā hai us ne tum ko chāhā na āshiqī meñ
ab lutf kyā milegā is dil ko bandagī meñ
dil hasratoñ kā jamghaT phir kaisā sūnā-pan ye
do chaar pal kī ḳhushiyāñ aa.iiñ thiiñ zindagī meñ
dil chhū gayā ye un kā honā paḌā pashemāñ
kaisā asar thā āḳhir āñkhoñ kī is namī meñ
chāho to yaad rakho chāho agar bhulā do
ehsās ek sā hai is dil ko be-ḳhudī meñ
tanqīd par hamārī 'uzma' udaas kyuuñ hai
tum meñ jo naqs DhūñDe shāyad vo the hamīñ meñ
Thahraw aa gaya hai kuchh aisa zindagi mein
ki bahte bahte jharna mil jae jun nadi mein
puja hai us ne tum ko chaha na aashiqi mein
ab lutf kya milega is dil ko bandagi mein
dil hasraton ka jamghaT phir kaisa suna-pan ye
do chaar pal ki KHushiyan aain thin zindagi mein
dil chhu gaya ye un ka hona paDa pasheman
kaisa asar tha aaKHir aankhon ki is nami mein
chaho to yaad rakho chaho agar bhula do
ehsas ek sa hai is dil ko be-KHudi mein
tanqid par hamari 'uzma' udas kyun hai
tum mein jo naqs DhunDe shayad wo the hamin mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.