Thahre jazbaat ke dariya ko rawani de kar
Thahre jazbāt ke dariyā ko ravānī de kar
ham ne kirdār bachāyā hai kahānī de kar
had se baḌh jaa.e to har chiiz burī hotī hai
maiñ ne ik fasl jalā Daalī hai paanī de kar
is na.e lahje se dil Dūbne lagtā hai mirā
tum pukāro mujhe āvāz purānī de kar
ab mujhe pyaas nibhāne kā hunar aatā hai
ḳhaak sahrā meñ uḌaa.ī hai javānī de kar
merā rab kartā hai ehsān musalsal 'vāhid'
sher-dar-sher mujhe misra-e-sānī de kar
Thahre jazbaat ke dariya ko rawani de kar
hum ne kirdar bachaya hai kahani de kar
had se baDh jae to har chiz buri hoti hai
main ne ek fasl jala Dali hai pani de kar
is nae lahje se dil Dubne lagta hai mera
tum pukaro mujhe aawaz purani de kar
ab mujhe pyas nibhane ka hunar aata hai
KHak sahra mein uDai hai jawani de kar
mera rab karta hai ehsan musalsal 'wahid'
sher-dar-sher mujhe misra-e-sani de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.